Menu

Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts

Hissa

Hum mehnatkash jagwaalon se jab apna hissa maangenge
Ek khet nahin, ek desh nahin, hum saari duniya maangenge

Yaan sagar sagar moti hain, yaan parbat parbat heere hain
Yeh saaraa maal hamaara hai, hum saara khazaana maangenge

Jo khoon baha, jo baag ujde, jo geet dilon mein qatl hue
Har qatre ka, har ghunche ka, har geet ka badla maangenge

Se seth byopaari rajwaade dus laakh to hum das laakh karod
Yeh kitne din America se jeene ka sahaara maangenge

Jab saf seedhi ho jaayegi, jab sab jhagde mit jaayenge
Ham har ik desh ke jhande par ik laal sitaara maangenge


-- Faiz Ahmed Faiz

GULON MEAIN RANG BHARE BAAD E NAU BAHAAR CHALE by FAIZ AHMED FAIZ

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale 

chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale 

qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho 
kahin to bahar-e-Khuda aaj zikr-e-yar chale 

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz 
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale 

bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi 
tumhaare nam pe aaenge gham gusar chale 

jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran 
hamare ashk teri aaqibat sanwar chale 

huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab 
girah mein le ke gareban ka tar tar chale 

maqam Faiz koi rah mein jacha hi nahin 
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale


- Faiz Ahmed Faiz

Uth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar

ٹھ  کر  تو  آ  گئے  ہیں  تیری  بزم  سے  مگر 
کچھ  دل  ہی  جانتا  ہے  کے  کس  دل  سے  اے  ہیں 

Uth Kar To Aa Gaye Hain Teri Bazm Se Magar
Kuchh Dil Hi Janta Hai Ke Kis Dil Se Aaye Hain

@ Faiz Ahmed Faiz