Menu

Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts
Showing posts with label Mirza Ghalib. Show all posts

Hain aur bhi duniya mein sukhan-war bahut achchhe

hai bas-ki har ek un ke ishaare mein nishan aur 
karte hain mohabbat to guzarta hai guman aur 

ya-Rab wo na samjhe hain na samjhenge meri baat 
de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur 

abru se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand 
hai tir muqarrar magar is ki hai kaman aur 

tum shahr mein ho to hamein kya gham jab uthenge 
le aaenge bazar se ja kar dil o jaan aur 

har chand subuk-dast hue but-shikani mein 
hum hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur 

hai khun-e-jigar josh mein dil khol ke rota 
hote jo kai dida-e-khun-naba-fishan aur 

marta hun is aawaz pe har chand sar ud jae 
jallad ko lekin wo kahe jaen ki han aur 

logon ko hai khurshid-e-jahan-tab ka dhoka 
har roz dikhata hun main ek dagh-e-nihan aur 

leta na agar dil tumhein deta koi dam chain 
karta jo na marta koi din aah-o-fughan aur 

pate nahin jab rah to chadh jate hain nale 
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur 

hain aur bhi duniya mein sukhan-war bahut achchhe 
kahte hain ki 'Ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur

-- Asadullah Khan Ghalib (Mirza Ghalib)

na tha kuch to khuda tha | نہ تھا کچھ تو خدا تھا | न था कुछ तो ख़ुदा था

na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab ghum se yu bebas, to ghum kya sar ke katne ka na hota agar juda tan se, to jaano par dhara hota
huyi muddat ke gaalib mar gaya par yaad aata hai wo har ek baat per kahna ke yu hota to kya hota
na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota
نہ تھا کچھ تو خدا تھا, کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا ڈبویا مجھکو ہونے نے, نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا
ہوا جب گھوم سے یوں بےبس, تو گھوم کیا سر کے کاٹنے نہ ہوتا اگر جدا تن سے, تو جانو پر دہرا ہوتا
ہویی مدّت کے گالب مر گیا پر یاد آتا ہے وہ ہر ایک بات پر کہنا کے یوں ہوتا تو کیا ہوتا
نہ تھا کچھ تو خدا تھا, کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا ڈبویا مجھکو ہونے نے, نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا
न था कुछ तो ख़ुदा था, कुछ न होता तो ख़ुदा होता डुबोया मुझ को होने ने, न होता मैं तो क्या होता
हुआ जो ग़म से यूँ बेहिस तो ग़म क्या सर के कटने का न होता गर जुदा तन से तो जानूं पर धरा होता
हुई मुद्दत के ग़ालिब मर गया पर याद आता है वह हर एक बात पर यह कहना के यूँ होता तो क्या होता
न था कुछ तो ख़ुदा था, कुछ न होता तो ख़ुदा होता डुबोया मुझ को होने ने, न होता मैं तो क्या होता
-- Diwan-E-Ghalib by Mirza Ghalib