Menu

GULON MEAIN RANG BHARE BAAD E NAU BAHAAR CHALE by FAIZ AHMED FAIZ

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale 

chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale 

qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho 
kahin to bahar-e-Khuda aaj zikr-e-yar chale 

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz 
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale 

bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi 
tumhaare nam pe aaenge gham gusar chale 

jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran 
hamare ashk teri aaqibat sanwar chale 

huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab 
girah mein le ke gareban ka tar tar chale 

maqam Faiz koi rah mein jacha hi nahin 
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale


- Faiz Ahmed Faiz

No comments:

Post a Comment