Menu

Showing posts with label Ghazal. Show all posts
Showing posts with label Ghazal. Show all posts

GULON MEAIN RANG BHARE BAAD E NAU BAHAAR CHALE by FAIZ AHMED FAIZ

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale 

chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale 

qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho 
kahin to bahar-e-Khuda aaj zikr-e-yar chale 

kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz 
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale 

bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi 
tumhaare nam pe aaenge gham gusar chale 

jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran 
hamare ashk teri aaqibat sanwar chale 

huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab 
girah mein le ke gareban ka tar tar chale 

maqam Faiz koi rah mein jacha hi nahin 
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale


- Faiz Ahmed Faiz

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi | BAHADUR SHAH ZAFAR

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi 
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi 


le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar 

be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi 


us ki aankhon ne KHuda jaane kiya kya jadu 

ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi 


aks-e-ruKHsar ne kis ke hai tujhe chamkaya 

tab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi 


ab ki jo rah-e-mohabbat mein uThai taklif 

saKHt hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi 


pa-e-kuban koi zindan mein naya hai majnun 

aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi 


nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil 

wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi 


chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin 

jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi 


kya sabab tu jo bigaDta hai 'zafar' se har bar 

KHu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi 

----------------------------------------------------------------------------



بات کرنی مجھے مشکل کبھی ایسی تو نہ تھی 
جیسی اب ہے تیری محفل کبھی ایسی تو نہ تھی 


لے گیا چھین کے کون آج تیرا صبر و قرار

بے-قراری تجھے ای دل کبھی ایسی تو نہ تھی


اس کی آنکھوں نے خدا جانے کیا کیا جادو 

کی طبیت میری میل کبھی ایسی تو نہ تھی


عکس-ا-رخسار نے کس کے ہے تجھے چمکایا 

ٹیب تجھ میں مہ-ا-کامل کبھی ایسی تو نہ تھی


اب کی جو راہ-ے-محبّت میں اٹھائی تکلیف 

سخت ہوتی ہمیں منزل کبھی ایسی تو نہ تھی


پا-ا-کبن کوئی زندان میں نیا ہے مجنوں 

آتی آواز-ا-سلاسل کبھی ایسی تو نہ تھی


نگاہ-ا-یار کو اب کیوں ہے تغافل ای دل 

وو تیرے حال سے غفل کبھی ایسی تو نہ تھی


چشم-ا-قتل میری دشمن تھی ہمیشہ لیکن 

جیسی اب ہو گئی قتل کبھی ایسی تو نہ تھی


کیا سبب تو جو بگڑتا ہے 'ظفر' سے ہر بار 

خو تیری ہر-شمائل کبھی ایسی تو نہ تھی


-written by KING BAHADUR SHAH ZAFAR

CLASS SE BHAG JANE SE KYA FAYADA | क्लास से भाग जाने से क्या फायदा

CLASS SE BHAG JANE SE KYA FAYADA 

AUR FIR MAR KHANE SE KYA FAYADA 

HUM GADAHE FIR SE BAN JAYENGE, DEKHNA 
HUMKO MURGHA BANA NE SE KYA FAYADA 

JO HAMARI SAMAJH MEIN HI AATA NAHIN 
ROZ USKO PADHANE SE KYA FAYADA 

UNKO BUN NE DO SWEATER,NA CHHEDO UNHE 
APNI SHAMAT BULANE SE KYA FAYADA 

DAAD DETA NAHI TUMKO AAZAR KOI 
FIR GHAZAL GUNGUNANE SE KYA FAYADA

-----------------------------------------------

क्लास से भाग जाने से क्या फायदा 
और फिर मार खाने से क्या फायदा 

हम गधे फिर से बन जायेंगे, देखना 
हमको मुर्ग़ा बनाने से क्या फायदा 

जो हमारी समझ में ही आता नहीं 
रोज़ उसको पढ़ने से क्या फायदा 

उनको बुनने दो स्वेटर, न छेड़ो उन्हें 
अपनी शामत बुलाने से क्या फायदा 

दाद देता नहीं तुमको ाज़र कोई 
फिर ग़ज़ल गुनगुनाने से क्या फायदा
--------------------------------------
CLASS SE BHAG JANE SE KYA FAYADA | क्लास से भाग जाने से क्या फायदा
CLASS SE BHAG JANE SE KYA FAYADA | क्लास से भाग जाने से क्या फायदा

na tha kuch to khuda tha | نہ تھا کچھ تو خدا تھا | न था कुछ तो ख़ुदा था

na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota
hua jab ghum se yu bebas, to ghum kya sar ke katne ka na hota agar juda tan se, to jaano par dhara hota
huyi muddat ke gaalib mar gaya par yaad aata hai wo har ek baat per kahna ke yu hota to kya hota
na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota
نہ تھا کچھ تو خدا تھا, کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا ڈبویا مجھکو ہونے نے, نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا
ہوا جب گھوم سے یوں بےبس, تو گھوم کیا سر کے کاٹنے نہ ہوتا اگر جدا تن سے, تو جانو پر دہرا ہوتا
ہویی مدّت کے گالب مر گیا پر یاد آتا ہے وہ ہر ایک بات پر کہنا کے یوں ہوتا تو کیا ہوتا
نہ تھا کچھ تو خدا تھا, کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا ڈبویا مجھکو ہونے نے, نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا
न था कुछ तो ख़ुदा था, कुछ न होता तो ख़ुदा होता डुबोया मुझ को होने ने, न होता मैं तो क्या होता
हुआ जो ग़म से यूँ बेहिस तो ग़म क्या सर के कटने का न होता गर जुदा तन से तो जानूं पर धरा होता
हुई मुद्दत के ग़ालिब मर गया पर याद आता है वह हर एक बात पर यह कहना के यूँ होता तो क्या होता
न था कुछ तो ख़ुदा था, कुछ न होता तो ख़ुदा होता डुबोया मुझ को होने ने, न होता मैं तो क्या होता
-- Diwan-E-Ghalib by Mirza Ghalib

Ibtadaye ishq hai rota h kya

Ibtadaye ishq hai rota h kya 
Age age dekhye hota h kya

Neend ab tere mukaddar me nhi
Raat ki pichhle pahar sota h kya

Ibtadaye ishq hai rota h kya 
Age age dekhye hota h kya

Ye nishane ishq hai jate nhi
Daagh chhati ke abas dhota hai kya

Gir ke uthna uth ke chalna sikh le
Baghe manzil is tarah hota h kya

--- Meer Taqi Meer

WOH JO HUM MEIN TUM MEIN QARAAR THA by Momin Khan Momin

WOH JO HUM MEIN TUM MEIN QARAAR THA

Lyrics: Momin Khan Momin

WOH JO HUM MEIN TUM MEIN QARAAR THA, TUMHE YAAD HO KE NAA YAAD HO
WOHI YAANI WAADA NIBAAH KAA, TUMHE YAAD HO KE NAA YAAD HO

WOH JO LUTF MUJH PE THE BESHTAR, WOK KARAM KE THA MERE HAAL PAR
MUJHE SAB HAI YAAD ZARAA ZARAA, TUMHE YAAD HO KE NAA YAAD HO

WOH NAYE GILE, WOH SHIKAAYATEI, WOH MAZE MAZE KI HIQAAYATEI
WOH HAR EK BAAT PAR ROOTHNAA, TUMHE YAAD HO KE NAA YAAD HO

KABHI HUM MEIN TUM MEIN BHI CHAH THI, KABHI HUM SE TUM SE BHI RAAH THI
KABHI HUM BHI TUM SE THE ASHANA, TUMHEI YAAD HO KE NAA YAAD HO

JISE AAP KEHATE THE BAAWAFAA, JISE AAP GINATE THE ASHANA

MAIN WAHI HUU ‘MOMIN-E-MUBATALA’, TUMHEI YAAD HO KE NAA YAAD HO

agar kabhi meri yaad aaye by Amjad Islam Amjad



اگر  کبھی  میری  یاد  اے 
تو  چاند  راتوں  کی  نرم  دلگیر  روشنی  میں 
کسی  ستارے کو  دیکھ  لینا 
اگر  وہ  نخل -ا -فلک  سے  اوڑھ  کر  تمھارے  قدموں  میں  آ  گرے  
وہ  استعارہ  تھا  میرا  دل کا 
اگر  نہ  اے 
مگر  یہ  ممکن  ہی  کس  طرح  ہے  کے  تم  کسی  پی  نگاہ  ڈالو 
تو  اس  کی  دیوار -ا -جان  نہ  ٹوٹے 
وہ  اپنی  ہستی  نہ  بھول  جے 
اگر  کبھی  میری  یاد  ے 
گریز  کرتی  ہوا  کی  لہروں  پی  ہاتھ  رکھنا 
میں  خشبووں  میں  تمھیں  ملونگا 
مجھے  گلاب  کی  پتیوں  میں  تلاش  کرنا 
میں اوس    قطروں  کے  آئینوں  میں  تمہیں  ملوں  گا 
اگر  ستاروں  میں , اوس   قطروں  میں , خشبووں  میں 
نہ  پاؤ  مجھ  کو 
تو  اپنے  قدموں  میں  دیکھ  لینا 
میں  گرد  ہوتی  مسافتوں  میں  تمھیں  ملوں  گا 
کہیں  پی  روشن  چراغ  دیکھو  تو  سوچ  لینا 
کے  ہر  پتنگے  کے  ساتھ  میں  بھی  بکھر  چکا  ہوں 
تم  اپنے  ہاتھ  سے  ان  پتنگوں  کی  خاک  دریا  میں  ڈال  دینا 
میں  خاک  بن  کر  سمندروں  میں  سفر  کروں  گا 
کسی  نہ  دیکھے  ہوۓ  جزیرے  پی  روک  کے  تم  کو  صدائیں  دوں  گا 
سمندروں  کے  سفر  پی  نکلو 
تو  اس  جزیرے  پی  بھی  اترنا 
اگر  کبھی  میری  یاد  اے 



agar kabhi meri yaad aaye
to chaand raaton ki narm dilgeer roshni mein
kisi sitaare ko daikh laina
agar woh nakhl-e-falak say urh kar tumhaare qadmon mein aa giray 
to yeh jaan laina
woh ista'ara tha mera dil ka
agar na aaye
magar yeh mumkin hee kis tarah hai ke tum kisi pe nigaah dalo
to us ki deewar-e-jaan na tootay
woh apni hasti na bhool jaae
agar kabhi meri yaad aae
guraiz karti hawaa ki lehron pe haath rakhna
mein khushbuwon mein tumhein miloon ga
mujhe gulaab ki pattion mein talaash karna
mein aus qatron ke aainon mein tumhen miloon ga
agar sitaron mein, aus qatron mein, khushbuwon mein
na pao mujh ko
to apne qadmon mein dekh laina
mein gard hoti musaafaton mein tumhein miloon ga
kahin pe roshan chiragh dekho to soch laina
ke har patangay ke saath mein bhi bikhar chuka hoon
tum apne haath say un patangon ki khaak darya main daal daina
mein khaak ban kar samandaron mein safar karoon ga
kisi na daikhay huway jazeeray pe ruk ke tum ko sadaain doon ga
samandaron ke safar pe niklo
to us jazeeray pe bhi utarna
agar kabhi meri yaad aaye


(Amjad Islam Amjad)