hai bas-ki har ek un ke ishaare mein nishan aur
karte hain mohabbat to guzarta hai guman aur
ya-Rab wo na samjhe hain na samjhenge meri baat
de aur dil un ko jo na de mujh ko zaban aur
abru se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai tir muqarrar magar is ki hai kaman aur
tum shahr mein ho to hamein kya gham jab uthenge
le aaenge bazar se ja kar dil o jaan aur
har chand subuk-dast hue but-shikani mein
hum hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur
hai khun-e-jigar josh mein dil khol ke rota
hote jo kai dida-e-khun-naba-fishan aur
marta hun is aawaz pe har chand sar ud jae
jallad ko lekin wo kahe jaen ki han aur
logon ko hai khurshid-e-jahan-tab ka dhoka
har roz dikhata hun main ek dagh-e-nihan aur
leta na agar dil tumhein deta koi dam chain
karta jo na marta koi din aah-o-fughan aur
pate nahin jab rah to chadh jate hain nale
rukti hai meri taba to hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniya mein sukhan-war bahut achchhe
kahte hain ki 'Ghaalib' ka hai andaz-e-bayan aur
-- Asadullah Khan Ghalib (Mirza Ghalib)