Menu

Muhabbat ek ehsaas

Aaj Azam subah der tak so raha tha, kyunki jab se social media hamare nauzawano ke beech aya hai tab se hamare nauzawano ki raat ki need subah ko puri hoti thi. Pata nhi aisa kya hota hai usme jo unhe nawzawano ko mashgool kiye rakhti thi, har taraf aisa hi mahaul tha ye sirf Azam ki hi baat nhi thi gali ke sare ladkon ka yahi haal tha. Tabhi Azam ki ammi use jagane ayin or bahut bura bhala suna kar chalin gai phir bhi need se bedar nhi hua or sota raha. Takreeban 15-20 minutes ke bad ammi ne Azam ki chhoti bahan Ruby ko use jagane ke liye bheja. Ruby bahut hi shararti thi or ghar pe sabse chhoti hone ki wajah se sab unhe bahut pasand kiya karte the, who kisi ki nahi sunti thi or jo man me aye bas wahi karna hai. Bilkul jiddi ladki, sabke lad pyar ne use sar pe Chadha rakha tha zara sa kisi ne kuchh dhant diya ya kuchh bol diya turant naak Chadha leti thi or sabse naraz ho kar alag baith jati thi. Ruby ko ammi ne Azam ko jagane ke liye bheja to who mohtarma ek jug me pani bhar kar le ayin or azam ke upar dall kar farar ho gai. Is pani ke padhte hi Azam jhunjhla utha or chillata hua bedar hua or uske pichhe dodta hua bhaga tab tak Ruby kamre me apne aap ko bandkar chuki thi.

Ab Mr. Azam ke din ki shuruat hoti hai or who sidha apne ankhon ko malte hue washroom ki taraf chal deta hai, jhatpad who washroom se nikla or sab kam ko jaldi jaldi anzam dene laga. Sayad use kahin jana tha jaise, jiske liye who late ho raha tha. Ammi nashte ko awaz dete rahi but who wapas nhi aaya or man nhi hai aisa bol kar kar ghar se bahar nikal gya.

to be continue...

No comments:

Post a Comment