Menu

Ghazal Jagjit Singh and Chitra Singh


Memorable Ghazals of Jagjit and Chitra


1.  baat nikalegee to phir duur talak jaayegee
     log bewajaH udaasee kaa sabab poochhenge
     ye bhee poochhenge ke tum itnee pareshaaN kyooN ho
     oongliyaaN uTheNgee sookhe huye baaloN kee taraf
     ek nazar dekheNge guzre huye saaloN kee taraf
     chooDiyoN par bhee kaI taNz kiye jaayeNge
     kaaNpate haathoN pe bhee fikRe kase jaayeNge

     log zaalim haiN har ek baat kaa taanaa deNge
     baatoN baatoN meiN meraa zikR bhee le aayenge
     unakee baatoN kaa zaraa saa bhee asar mat lenaa
     waRnaa chehre ke taasur se samaJh jaayeNge
     chaahe kuchh bhI ho sawaalaat naa karnaa unse
     mere baare meiN koI baat na karnaa unse
     baat nikalegii to phir door talak jaayegee

  



2.   sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
     nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

     jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
     hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista
    
     sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
     kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista
  
     hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
     idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

     baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
     huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista 
  



3.  Gham badhe aate haiN qaaTil kee nigahoN ki tarah
     tum chupa lo muJhe ae dosth gunahoN ki tarah

     apni nazroN meiN gunehgaar na hote kyoon kar
     dil hi dushman hai mukhalif ke gawahoN ki tarah

     har taraf zeest ki raahoN mein kaDi dhoop hai dosth
     bas teri yaad ke saaye haiN panahoN ki tarah
   
     jinki khaatir kabhi ilzaam uThaye 'faakir'
     wo bhi pesh aaye hain insaaf ke shaaHoN ki tarah




4.  pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
     sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

     tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
     ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

     kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
     ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO
    



5.   dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
     maine dekhe haiN kaI rang badalane waale

     tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
     tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale

     maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
     aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale

     akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
     phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale





6.   dil ko gham-e-hayaat gaNwaara hai in diNo
     pehle jo dard tha wahi chaara hai in diNo

     ye dil zara sa dil teri yaadoN mein kho gaya
     zaRRe ko aandhiYon ka sahara hai in diNo

     tum aa sako to shab ko baDha dooN kuch aur bhi
     apne kahe meiN subhO ka taara hai in diNo




7.   apne haathoN kee lakiroN meiN basa le muJhko
     main hooN tera to naseeb apna bana le muJhko

     muJhse too poochne aaya hai wafa ke maani
     ye teri sadaa-dili maar na Daale muJhko
  
     khud ko maiN baaNt na daalooN kahin daaman-daaman
     kar diya tune agar mere hawaale muJhko

     bada fir bada hai maiN zehar bhi pee jaaooN 'qatil'
     shart ye hai koi baahoN meiN sambhale muJhko




8.   angDai par angDai leti hai raat judaee kee
     tum kya samJho tum kya jaaNo baat meri tanhaayee kee

     kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behte dariya meiN
     maiNe aaNkh jhuki dekhi hai aaj kisi harjee kee

     wasl ki raat na jaane kyoon israar tha unko jaane par
     waqt se pehle dhooB gaye taaroN ne baDi daanaee kee
  
     uDte uDte aas ka paNchi door ufaq mein dooB gaya
     rote rote baith gayee awaaz kisi saudaaee kee




9.   sadma hai muJhe bhi ke tuJhse juda hooN maiN
     lekin ye soNchtaa hooN ke ab tera kyaa hooN maiN

     biKhraa paDa hai tere hi ghar meiN tera wajood
     bekaar meHfiloN meiN tuJhe dhoonDtaa hooN maiN

     naa jaane kis adaa se liya toone mera naam
     duniya samaJh rahee hai ke sab kuCh tera hooN maiN

     le mere tajurboN se sabaK ae mere raqeeB
     do chaar saal umR meiN tuJhse baDa hooN maiN





10.  humko dushman kee nigahoN se na dekha keeJe
     pyaar hi pyaar haiN hum humpe bharOsa keeJe

     chand yaadoN ke siwa haath na kuch aayega
     is tarah uMr-e-gureza ka na peecha keeJe

     roshni auroN ke aaNgaN meiN gawara na sahee
     kam se kam apne ghar meiN to uJaala keeJe

     kya khabr kab wo chale aayenge milne ke liye
     roz palkoN pe nayee shamme jalaya keeJe




11.  pareshaaN raat saari haiN sitaroN tum to so jaaO
     sukut-e-marG taari hai sitroN tum to so jaaO

     hume to aaj ki shab pau faTe tak jaagna hoga
     yahi kismat hamari hai sitroN tum to so jaaO

     hume bhee neeNd aa jaayegi hum bhi so hi jaayenge
     abhi kuch beqaraari hai sitaroN tum to so jaaO

     tumHe kya aaj bhi koi agar milne nahiN aaya
     ye baazi humne haari hai sitaroN tum to so jaaO

     kahe jaate ho ro-roke hamara haal duniya se
     ye kaisi raazdaari hai sitaroN tum to so jaaO





12.  aaNkh se aaNkh milaa, baat banaata kyooN hai
     tu agar muJhse khafa hai to chupaata kyooN hai

     gair lagta hai hai na apnO ki taraH miltaa hai
     tu zamaane kee taraH muJhko sataata kyooN hai

     waqt ke saath haalaat badal jaate haiN
     ye haqeeqat hai magar muJhko sunaata kyooN hai

     ek muddat se jahaN kaafile gujre hi nahiN
     aisi raahoN pe charaagoN ko jalaata kyooN hai





13.  socha nahiN achcha bura dekha suna kuch bhi nahiN
     maanga khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahiN

     dekha tuJhe socha tuJhe chaaha tuJhe pooja tuJhe
     meri khata meri wafa teri khata kuch bhi nahiN

     jispar hamari aaNkh ne moti bichchaaye raat bhar
     bheja wohi kaagaz tuJhe humne likha kuch bhi nahiN

     ek shaam ki dahleez par baithe rahe wo der taq
     aankhoN se kee baateN bahot humne kaha kuch bhi nahiN





14.  paseene paseene huye jaa rahe ho
     ye bolo kahaN se chale aa rahe ho

     hameN sabR karne ko keh to rahe ho
     magar dekh lo khud hi ghabraa rahe ho

     ye kiskee buri tumko nazar lag gayee hai
     baharoN ke mausam meiN murJha rahe ho

     ye aaina hai ye to sach hi kahega
     kyoN apni haqeeqat se katraa rahe ho




15.  bahut diNoN ki baat hai
     fizaa ko yaad bhi nahiN
     ye baat aaj kee nahiN
     bahut dinoN kee baat hai

     shabaab par bahaar thee
     fizaa bhi khush-gawaar thee
     naa jaane kyoon machal pada
     maiN apne ghar se chal pada
     kisi ne muJhko rok'kar
     badi adaa se Tok'kar
     kaha tha lauT aae'iye
     meri kasam naa jaai'eye

     par muJhe khaBar na thee
     maahOl par nazar na thee
     naa jaane kyoon machal pada
     maiN apne ghar se chal pada
     maiN shehaR se phir aa gaya
     khayal thaa ke paa gaya
     us'e jo muJhse door thee
     magar meri zaroor thee

     aur ik hasiN shaaM ko
     maiN chal paDa salaam ko
     gali ka rang dekh'kar
     nayee tarang dekh'kar
     muJhe badi khushi huyee
     maiN kuch isi khushee meiN tha
     kisi ne Jhaank'kar kaha
     paraaye ghar se jaai'iye
     meri kasma na aai'iye

     wahi haseeN shaam hai
     bahaar jiska naam hai
     chala hooN ghar ko choDkar
     na jaane jaaoonga kidhar
     koi nahiN jo Tok'kar
     koi nahiN jo Rok'kar
     kahe ke laut aai'iye
     meri kasam na jaai'iye
       
     meri kasam naa jaai'iye ......




      Lyrics : kafeel Aazer         (1)
                 Ameer Meenai       (2)
                 Sudarshan Faaqir   (3)
                 Qateel Shifai         (4, 6, 7, 8, 9 and 11)
                 Saeed Rahi           (5, 12 and 14)
                 Rais Akhtar          (10)
                 Bashir Badr          (13)
                 Salam Machhli Shehri (15)
      Music  : Jagjit Singh
      Voices : Jagjit Singh and Chitra Singh

No comments:

Post a Comment