Kitaabain Jhankti Hain Band Almari Ke Sheeshoon Se
Kitaabain jhankti hain band almari k sheeshoon se,
bhari hasrat se takti hain maheenon ab mulaqaatain nahi hoti,
jo shamaain un ki suhbaat main katta karti thein,
ab aksar guzar jati hain computer k pardoon par,
badi bay chain rehti hain kitaabain
inhain ab neend main chalnay ki aadat hogai hai,
badi hasrat se takti hain jo qadrain jo woh sunatein thein,
ke jin ke sal kabhi martay nahi thein
woh qadrain ab nazar aati nahi ghar main
jo rishtay woh sunati thein woh saray udhrhay udhrhay hain
koi safha palat ta hoon to ik siski nikalti hay
kai lafzoon k mainee gir paray hain
bina patoon k sookhay dhund lagtay hain woh sab alfaaz
jin pe ab koi maani nahi hotay
bohat sii istalhain hain jo matti k sokorron ki tarah bikhri pari hain
classon main unhain makri ka dala
zaban pe jo aata tha zaiqa safhay paltnay ka
ab ungli click karnay se aik jhapki guzarti hai
bohat sa teh ba teh khulta chala jata hai
kitaboon se jo zaati rabta tha, kat gaya hai
kabhi seenay par rakh kar lait jate thay
kabhi goudi main laytay thay
kabhi guthnoon ko apnay rehal ki sorat bana kar
neem sajday main parha kartay thay,chotay thay jabeen se
Khuda nay chaha to woh sara ilm milta rahay ga baad main bhi
magar woh jo kitaabon main mila kartay thay sookhay phool
kitabain mangnay girnay uthanay k bahanay rishtay
bantay thay un ka kia hoga!!!??/!!!
woh shayad... ab nahiin hoon gay!!
Kitaabain Jhankti Hain
-- By Gulzar
No comments:
Post a Comment