Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti mein,
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai,
Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai,
Ye sab dhuwan hai koi aasman thodi hai,
Lagegi aag to aayenge ghar kayi zaddd mein,
Yaha pe sirf hamara makaan thodi hai,
Main janta hoon ki dushman bhi kam nahi lekin,
Hamaari tarah hatheli pe jaan thodi hai,
Hamaare munh se jo nikle wahi sadaqat hai,
Hamare munh mein tumhaari zubaan thodi hai,
Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahi honge,
Kiraaye daar hain zaati makaan thodi hai,
Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti mein,
Kisi ke baap ka HINDUSTAN thodi hai...
---- Raahat Indori
Find English translation on: https://tsenorbu.blogspot.com/2019/12/dr-rahat-indori-shayari-sabhi-ka-khoon.html
ReplyDelete