Menu

phir charaġh-e-lala se raushan hue koh o daman Allama Iqbal

phir charaġh-e-lala se raushan hue koh o daman

mujh ko phir naġhmon pe uksane laga murġh-e-chaman

phuul hain sahra men ya pariyan qatar andar qatar

uude uude niile niile piile piile pairahan

barg-e-gul par rakh ga.i shabnam ka moti bad-e-sub.h

aur chamkati hai us moti ko sūraj ki kiran

husn-e-be-parva ko apni be-naqabi ke liye

hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban

apne man men Duub kar pa ja suraġh-e-zindagi

tū agar mera nahin banta na ban apna to ban

man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq

tan ki duniya tan ki duniya suud o sauda makr o fan

man ki daulat haath aati hai to phir jaati nahin

tan ki daulat chhanv hai aata hai dhan jaata hai dhan

man ki duniya men na paaya main ne afrangi ka raaj

man ki duniya men na dekhe main ne shaiḳh o barhaman

paani paani kar ga.i mujko qalandar ki ye baat


tu jhuka jab ġhair ke aage na man tera na tan

Allama Muhammad Iqbal

aise bhi muhabbat ki saza deti hai duniya

aise bhi muhabbat ki saza deti hai duniya,

mar jayen to jeene ki dua deti hai dunya,

hum kon se momin thay jo alzam na sehtey,

patthar ko bhagwaan bana deti hai dunya,

yeh zakhm muhabbat ka hai dikhana na kisi ko,

la ker sar-e-bazaar saja deti hai dunya,

kismat par karo naaz na itna bhi faqeero,

haathon ki lakeeron ko mita deti hai dunya,

marney k liye karti hai majboor to lekin,

jeeney k tareeqey bhi sikha deti hai dunya,

aise bhi muhabbat ki saza deti hai dunya.


why Java does not support multiple inheritance

Java does not support multiple inheritance because Java does not want any ambiguity and confusion in the code.

Look here how:
Suppose we have a class A which has two methods method1() and method2(). Now another class B inherit the class A and given the definition for both method1 and method2. the another class C inherit class A and B at this point Java will get confused when we give definition for any method in class C. Here the confusion will be that Java don't know exactly from which class we are going to inherit this method either super class class A or class B, since in both the classes we have the method1 and method2.

This is the reason because of that  Java does not support multiple inheritance.


Java Tutorial for beginner