Mera Watan wahi hai- میرا وطن ووہی ہے
by Allama Muhammad Iqbal
CHISHTI NE JIS ZAMEEN MEIN PEGHAM-E-HAQ SUNAYA
NANAK NE JIS CHAMAN MEIN WAHDAT KA GEET GAYA
TATARIYON NE JIS KO APNA WATAN BANAYA
JIS NE HIJAZIYON SE DAST-E-ARAB CHHURAYA
MERA WATAN WOHI HAI, MERA WATAN WOHI HAI
YUNANION KO JIS NE HEERAN KAR DIYA THA
SARE JAHAN KO JIS NE ILM-O-HUNAR DIYA THA
MITTI KO JIS KI HAQ NE ZR KA ASAR DIYA THA
TURKON KA JIS NE DAMAN HEERON SE BHAR DIYA THA
MERA WATAN WOHI HAI, MERA WATAN WOHI HAI
TOOTE THE JO STARE FARAS KE ASMAN SE
PHIR TAAB DE KE JIS NE CHAMKAYE KEHKASHAN SE
WAHDAT KI LAIY SUNI THI DUNYA NE JIS MAKAN SE
MEER-E-ARAB KO AAYI THANDI HAWA JAHAN SE
MERA WATAN WOHI HAI, MERA WATAN WOHI HAI
BANDE KALEEM JIS KE, PARBAT JAHAN KE SEENA
NOOH-E-NABI KA AA KAR THEHRA JAHAN SAFEENA
RIFFAT HAI JIS ZAMEEN KI BAAM-E-FALAK KA ZEENA
JANNAT KI ZINDAGI HAI JIS KI FAZA MEIN JEENA
MERA WATAN WOHI HAI, MERA WATAN WOHI HAI
چشتی نے جس زمین میں پیغم -ا -حق سنایا
نانک نے جس چمن میں وحدت کا گیت گیا
تاتاریوں نے جس کو اپنا وطن بنایا
جس نے حجازیوں سے دست -ا -عرب چھریا
میرا وطن ووہی ہے , میرا وطن ووہی ہے
یونانیوں کو جس نے حیران کر دیا تھا
سارے جہاں کو جس نے علم -و -ہنر دیا تھا
متی کو جس کو حق نے زر کا اثر دیا تھا
ترکوں کا جس نے دامن ہیروں سے بھر دیا تھا
میرا وطن ووہی ہے , میرا وطن ووہی ہے
ٹوٹے تھے جو ستارے فارس کے آسمان سے
پھر تاب دے کے جس نے چمکے کہکشاں سے
وحدت کی لائی سنی تھی دنیا نے جس مکان سے
میر -ا -عرب کو آی ٹھنڈی ہوا جہاں سے
میرا وطن ووہی ہے , میرا وطن ووہی ہے
بندے کلیم جس کے , پربات جہاں کے سینہ
نوح -ا -نبی کا آ کر ٹھہرا جہاں سفینہ
رافت ہے جس زمین کی بام -ا -فلک کا زینہ
جنّت کی زندگی ہے جس کی فضا میں جینا
میرا وطن ووہی ہے , میرا وطن ووہی ہے